Deadly PJ, Sardar joke
Deadly PJ.........
Ek baar kya hota hai ki ek movie sardaaron me badi hit hoti hai. to ek press reporter ko us par survey karne ka kaam milta hai ki ye movie sardaaron me hi itni hit kyun ho rahi hai.
Reporter movie dekhne theater jaata hai. Movie shuru hoti hai. Screen par ek ghadi dikhai deti hai jisme 12 baje hote hain. Reporter chup baitha hai. Phir thoda time nikalta hai phir bhi 12 baje hote hain. Ab 1 ghanta ho jaata hai tab bhi ghadi me 12 hi baje hote hain. Phir jab reporter se raha nahin jaata to wo ek sardarji se puchta hai “bhai sahab plz suniye”. Sardar kahata hai- “Oye chup! dekhta nahin kya SUSPENSE chal riya hai”. Reporter hairaan pareshaan ki yaar SUSPENSE kya hai.
Khair phir 1 ghanta aur nikal jaata hai phir bhi screen par 12 hi baja hota hai. Reporter bahut himmat karke apne aage wale sardar ko puchata hai bhai sahab zara sunenge. sardar- oye ki kenda hai? zara der chup baith dekh ki SUSPENSE hai.
Ab to reporter ka dimag kharab ki aisa kya SUSPENSE hai jo mere alaawa sab ko samajh aa raha hai.
Khair movie khatam hone k baad jab wo theatre k baahar nikalata hai to sab sardar kahte hain wah kya SUSPENSE movie thi yaar superhit. Reporter sardar ko puchata hai bhai sahab maaf karo lekin movie wich SUSPENSE kitthe tha? Sardar- oye ki gal kenda hai? last tak pata i nai laga ki din ke 12 waje the ki raat ke.
ha ha ha ha ha ha ha ha ha ha ha ha ha






