Baandh lein Tum ko
Visitor Rating (0.00) 









Baandh lein Tum ko
Baandh lein Haath pe, Seene pe saja lein Tum ko
Gee mai aata hai k Ta'weez bana lein tum ko
Gee mai aata hai k Ta'weez bana lein tum ko
Phir Tumhein Roz sanwarey, Tumhein barhta dekhien
Q na Aangan mai Chanbeli sa laga lein Tum ko
Kabi Khwabon ki tarah Aankh k parde mai raho
Kabi Khuwahish ki tarah Dil mai Bula lein Tum ko
Jis tarah Raat k Seene mai hai Mehtaab ka Noor
Apne Taareek Makanon mai Saja lein Tum ko
Kya Ajeeb Khuwahishein uthti hain Hamare Dil mai
Kar k Munna sa Hawaon mai uchalein Tum ko
Is qadar toot k Tum per Hamein Pyaar aata hai
Apni Bahon mai bharein Maar hi dalein Tum ko

